|
darling aankhon se aankhen char karne do
roko na roko na mujhko pyar karne do
darling aankhon se aankhe char karne do
roko na roko na mujhko pyar karne do
bekaif hain bahara, bechain jane yaara
bulbulo ka abhi intezar karne do
darling sorry tujhe sunday ke din zehmat hui
darling milna tera fazle khuda rehmat hui
darling sorry tujhe aate hue zehmat hui
darling milna tera fazle khuda rehmat hui, rehmat hui
hey darling khadim ko dil pe to ikhtiyar karne do
darling aankhon se aankhe char karne do
roko na roko na mujhko pyar karne do
darling chhodo zara sharmane ka ye qaayda
hey darling hairat bhi hai ghairat bhi hai kya faayda
darling public mein sansani ek bar karne do
darling aankhon se aankhe char karne do
roko na roko na mujhko pyar karne do
darling aankhon se aankhe char karne do
roko na roko na mujhko pyar karne do
bekaif ka bahara, bechain jane yaara
bulbulo ka zara intezar karne do
|
o mama o mama
o mama o mama
dil se hi ab sochta hai dil mera o mama
sar ko aksar nochta hai dil mera o mama o mama
ab khair to nahi koi bair to nahi
dushman jiye mera
wo bhi gair to nahi
jo dil gaya gaya
my heart thinks only with heart now,
my heart often tears the head (now),
now (everything) is not well, (but) there is no rivalry,
may my rival live,
he's not some alien* either,
when the heart went, (it just) went..
(gair is used for someone out of the family n friends, stranger, or someone you are supposed to keep distance from)
o mama, kanche maare
billi jaisi aankhon wali
ek myaun si ladki
o mama
oonghe kabhi soonghe kabhi
jhanke kabhi aaun kabhi
kabhi jaaun si ladki
o mama...
O mama, hits me with marbles,
one with cat eyes,
a girl like meow,
o mama,
sometimes dozes, sometimes smells,
sometimes peeks, sometimes coming,
sometimes a girl like going..
o mama...
aise dabe paon aaye wo ki chaap na ho
o mama, o mama
khwab mein mil jaaye lekin wo khwab na ho
o mama, o mama
ummeed to nahi phir bhi ummeed ho
koi to is tarah aashiq shaheeed ho
koi gaya gaya
o mama...
(she) comes in such a silent manner that there is no sound,
o mama, o mama,
she meets me in the dream but that's not a dream,
o mama, o mama,
there is no hope, but still there be hope,
at least some lover be martyred like that,
someone went, ah went...
o mama...
|
awaara awaara
awara awaraa awaara
hawa pe rakhe sookhe patte, awaara
paon zameen pe lagte hi ud lete hain dobara
awara awaraa awaara
na shaakh jude na jad pakde
naa shaakh jude na jad pakde
mausam mausam banjara
awaara awaara awaara
aawara awaara awaara
jhonka jhonka ye hawa
jhonka jhonka ye hawa, roz udaye re
jake daar gayi wo to beet gaya
jaaki maati gayi waka meet gaya
koi na bulaye re
rut rang liye aayi bhi gayi
muthiyan na khuli berang rahi
sookha patta banjara
awaara awaara awaara
aawara awaara awaara....
haule haule ye hawa
haule haule ye hawa, khel khilaye re
khole dhoop kabhi, ghole chhaon kabhi
kabhi pankh bane, bane paon kabhi
dhool dikhaye re
koi thah na mili na hawa na zameen
na umeed ugi na dilasa kahin
udta jaye bechara
awaara awaara awaara
aawara awaara awaara
awaara awaara awaara
aawara awaara awaara
awaara awaara
awaara awaara awaara..
|
tere liye, tere liye, tere liye
lafzon mein lamhon ki doliyan laye hain,
lafzon mein lamhon ki doliyan laye hain, laye hain
sheron mein khushboo ki, boliyan laye hai,
sheron mein khushboo ki, boliyan laye hai, laye hain
humne to sau saude kiye, tere liye
aankhon mein na chubhe, taaron ki kirchiyan
sheeshe ka aasma laye hai, tere liye
tere liye tare jade, heeron se bhi kitne bade
humne aasmano mein lakhon ke saude kiye
tere liye tere liye tere liye
halki si sardi ho aur saans garam ho
shaamon ki shawl bhi thodi si narm ho
tere liye kishmish chuni piste chune tere liye
humne to parindo se baagon ke saude kiye tere liye
tere liye...
|
dil dil hai dil hai dil dil hai
dil dil hai dil hai dil
chakme pe chakme, chakme pe chak chak
dil kabhi masti, dil kabhi mastak
chakme pe chakme hain, chakme pe chak chak
dil kabhi masti hai, dil kabhi mastak
kabhi sargoshi hai kabhi dastak de re
kabhi khoon ki garmi, kabhi thandak de re
mano to na mano to.. dil dil hai
dil dil hai dil hai dil dil hai
dil dil hai dil hai dil
sau jannato ke kabil hai, dil dil hai dil hai dil
ye doobton ka sahil hai, dil dil hai dil hai dil
ye jahilon ka jahil hai, dil dil hai dil hai dil dil
ye aakilon ka aakil
sau jannaton ke kabil hai, ye dil hai dil hai dil
dil dard ki matki, dil jaan ki aafat
badmashi karke dikhlaye sharafat
dil dard ki matki, dil jaan ki aafat
badmashiyan karke dikhlaye sharafat
jo dil ko chura le dil uski amanat
sab ishq ke mujrim ik dil ki zamanat
aaye to na aaye to dil dil hai
dil dil hai dil hai dil dil hai
dil dil hai dil hai dil
ye dil ye kaahe ka dil hai
sau jannaton ke qabil hai
aasoon raseeden iski ye dhadkaon ka dil
dil dil hai dil hai dil dil hai
dil dil hai dil hai dil
|
girje ka gajar sunte ho, yeshu
phir bhi tum chup rehte ho, yeshu
apne chahane walon ko tum kaise chunte ho yeshu
aaaa yeshu
kya jism ye bemani hai
kya rooh gareeb hoti hai
tum pyaar hi pyaar ho lekin
kya pyaar salib hoti hai
rui ki tarah is jism ko tum
isliye bunte ho yeshu, yeshu
girje ka gajar sunte ho yeshu
phir bhi tum chup rehte ho yeshu
koi nahi is waqt yahan
is waqt mujhe apnaana
aagosh mein apni le lo
phir chahe jahan le jana
uss par to koi dard nahi
bolo na sunte ho.. yeshu.. yeshu
girje ka gajar sunte ho yeshu
phir bhi tum chup rehte ho yeshu
apne chahane walo ko tum kaise chunte ho yeshu
girje ka gajar sunte ho yeshu
phir bhi tum chup rehte ho yeshu..
No comments :
Post a Comment